Muhabbat harf awal ha
muhabbat harf akhir ha
ya ha ik asa jazba jo
zahoor apna main mahir ha
zamana main udasi bi
muhabbat bant sakti ha
kisi ka sil sa nafrt ko
muhabbat chahnt sakti ha
muhabbat bewafa bi ha
muhabbat dilruba bi ha
muhabbat karna waloon ko
muhabbat sa gilah bi ha
muhabbat main jo hota hain
gilahy wo sab muhabbat hain
lagan chaht wafadari
ya sara dab muhabbat hain
muhabbat aan jasi ha
muhabbat mann jasi ha
muhabbat phool jasi ha
muhabbat jan jasi ha
muhabbat jan lati ha
muhabbat jan dati ha
muhabbat sarfroshi ko
hamasha maan lati ha
muhabbat ik tubasm ha
jo pholon main bi khilta ha
kabhi titli ka pankoon main
kabhi mamta main milta ha
muhabbat sans lati ha
muhabbat dekh sati ha
muhabbat sath chalti ha
muhabbat rah badlti ha
kisi ki shadmani ko
muhabbat soch sakti ha
ya sari zindgani ka
gamoon ko noch sakti ha
muhabbat aik nagina ha
ya jina ka qirena ha
nahi jo dobna pata
muhabbat wo safina ha
jahan ka sab mazahb main
muhabbat ka tuqdis ha
yahi insan ka jazboon main
ata sab sa muqadas ha
muhabbat ka ya jazaba ab
bara pamal hota ha
ya jis ka dil main bus jay
buht ba hal hota ha
muhabbat kal bi hoti ha
muhabbat ab bi hoti ha
magar apna muqder pe
muhabbat ajj roti ha.